Kya soch raha tha ae-rab
Insaan bana raha tha jab
Soch ka kaam dimaag se hota
Na koi khushi na gum ka ehsaas hota
Sab ho jana tha set
bass jo ye dil na hona tha
Saathi chhutey par chhuta na saath
Na kar paya waqt..dhundhlee koi yaad
Jab chahaa iss dil ne rulla liya
beetey palo ne dil dukha diya
Sab ho jana tha set
bass jo ye dil na hona tha
Zindagi badee aur waqt gaya theher
yaddon kee yaad mein jane kab ho gayee seher
Jinkee aas thee vo paas nahi
Jo paas hai vo saath nahi
Ye kaisa hai ehsaas
Jiss ehsaas mein ehsaas nahi...
Sab ho jana tha set
bass jo ye dil na hona tha
Iss dil ne hasaya
Iss dil ne rulaya
Aankhon ne kab samjha
Iss ne toh har pal bass neer bahaya
Toh phir tu hi bata ae-rab
kya soch raha tha tu
Insaan bana raha tha jab
Sab ho jana tha set
bass jo ye dil na hona tha
bass ye dil na hona tha....
bass ye dil na hona tha....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
wow.. !!
ReplyDelete